Skip to main content

WHAT IS SEO IN HINDI GUIDE AND HOW ITS WORK 2019


What is SEO in Hindi


What-is-SEO-in-Hindi



Hello guys welcome back ,aur aaj  main aapko  batane jaa raha hun

What is SEO in Hindi.


Mostly har naye blogger ka sabse bada question yahi hota hai ki 

What is SEO:-

Dont worry main aapko bahut hi simple tarike se samjhata hun.

SEO- means Search engine optimization, mtlb aap apni website ya blog ko serach engine pe achi rank pe laane ke liye SEO ka use kiya jata hai.

SEO kisi bhi website ya blog ki aatma ke saman hai. Hum blog likhte hai wo isliye ki log use dekh sake aur us topic ke baare main jaankari le sake, lakin without SEO log aap tak pahuch hi ni payenge, post likhna alag baat hoti hai aur logo tak pahuchna alag baat isliye hum kuch steps ko follow karke apne post ko  jyada se jyada logo tak  pahucha sakte hai.Aur Google pe rank kar sakte hai.




SEO kya hai-

Is internet ki duniya main aise bahut se tarike hai jisse aap apne website pe traffic la sakte hai aur online income bhi kar sakte hai.

As like:-
  1. SEO
  2. SMO
  3. Email marketing
  4. affiliate marketing
  5. Socail media marketing
  6. Content marketing
sabse pehle jaante hai SEO ke baare main, aur usse pehle jaante hai traffic ke baare main

Trafifc 2 type ke hote hai


type-of-traffic
Type of traffic

  1. Inorganic traffic
  2. Organic traffic

Inorganic traffic paid hota hai mtlb ki serach engine ke top pe aane ke liye google ko paise dene padta hai

Organic traffic free hota hai mtlb jo traffic search engine se aata hai, google ko bina paise diye top par aa sakte hai isi ke liye SEO karne ki jarurat hoti hai.
inorganic-and-organic-traffic
INorganic and organic traffic

Kisi bhi website/Blog ke liye Search engine optimization bahut jarurai hota hai.

Thoda detail main aur samjhte hai ki SEO ki jarurat kyun hoti hai

  1. Website pe traffic laane ke liye
  2. website ko jyada se jyada logo tak pahuchane ke liye
  3. agar aapki businees website hai to jyada se jyada sale and product publicity ke liye.

SEO kaam kaise karta hai:-



Google ke apne kuch rules hote hai jiske liye usne kuch computer program design kiye hai jo apke contant to check karta hai, isse GOOGLE Alogorithm kehte hai. Is rules ko follow karna hi SEO kehlata hai.


SEO kuch steps main kaam karta hai jaise jise hum detail main samjhnge

Crawlability :-



Google Web pe kisi content ko dhundhne ke liye bahut saare steps ko follow karta hai jismain sabse pehle aata hai crawling, ismain google ek compute program ko use karta hai jise SPIDER kehte hai.
ye aapke content ke kuch points ko check karta hai . jaise

  • poor interlinking-google unpagaes ko crawl nahi karta jismain kisi page ki interlinking ni hoti.

  • not followed interal links-Internal links jiko kisi ne follow nahi kiya wo bhi google main crawl ni hote hai

  • noindexed page-agar apke internal link no index pages hai to ho sakta hai use bhi Google crawl na kare.

  • Robots.txt-Robot ek text file hai jo google ko batati hai ki website pe kaha jaa sakte hai aur kahan ni, agar kuch aaapne  yahan pe block rakha  hai to google use crawl nahi karega.


Agar aapko isse related kuch issue hai to aap apni website ka audit kar sakte hai, kuch tools hai jo eaisly and free of cost internet pe hai . jaise
https://www.semrush.com/siteaudit/

Crawling-check-site-image
Crawlng realted site snapshot


Indexing-


Crawling ke baad google aapke contant ko apne storage main store kar leta  hai, aapko apni website ke  har page aur post ko index karna hota hai taki har page search engine main aa sake.


Matching- 


Search engine pe koi keyword daalne pe agar aapka webpage show ho jaye to ye matching programming ke through hota hai;.



Website Mobile Friendly hai ki nahi -


63% traffic google pe mobile ya TAB se hi aata hai, aur baaki ka 37% computer ya laptop se. aur yeh uses lagatar badh hi rahe hai to aisa bhi keh sakte hai ki aane wale dino main google sirf mobile freindly sites ko hi rank kare, to isliye ye bahut jaruri hai ki aap ki site mobile friendly ho .

Apki site mobile friendly hai ya nai isko chek karne ke liye aap kuch tools bhi use kar sakte hai jaise

mobile-friendly-site-image
Mobile friendly site printshot


Page ki speed-


ye baat to common hai ki jo site load hone main time lagate hai uspe koi bhi visit karna pasand ni karta , google bhi aise sites ko rank nahi karta .aapke page ki speed kya hai iske liye bhi bahut se tools eaisly avilable hai jaise-

page-speed-check-image
Page speed check website snapshot



google pe apni site pe rank karwane ke liye sabse jyada jaruri hai ki aap sahi keyword ko choose kare, iske liye bhi bahut saare keyword Tools avilable hai, aapko us tools pe us keyword ki popularity aur CPC dekhna hota hai, jiska acha hai use hi choose kare jisse aapka content jyada se jayda serach bar main aa sake.

Keyword check tools is:-


Keyword-site-image
Keyword site print shot


Title tag-


Page ko rank aur SEo complete karne ke liye Tiltle tag ka best hona jaruri hota hai ismain 1 number and 1 focus keyword jarur hona chahiye. jisse google ko samjhne main assaan hota hai ki contant kis baare main hai.


Meta tag Discription-


Meta tag discription ka mtlb hota hai ki apne contacnt ke baare main discription main likhna, aapka blog kis baare main hai is aap discripiton pe likh den jisse ki jo user click kare use serach page pe hi pata chal jaaye.

Heading ka use kare-


aapne just aise hi likh  diya aur use publish kar diya to use google rank nahi diya, aapka artical artractive hona chahiye iske liye heading ka use kare aur ache se saja ke blog ko publish kare.

Lengthy Contant likhe-


Bahut saare reviews aur eprennices se ye baat saamne aayi hai ki 1000+ word ke contant hi google pe achi rank kar paate hai.


OLD post Update-


Ye bahut hi acha tarika hai google ko apne baare main baar baar batane ka , agar aap apne purane blogs ko bhi update karte rahenge to Google apne SPider compute progrram ko dubara command dega aapke website pe visit karne ke liye , isse aapka rank improve hoga.

BOLD and Italic Writing-


Content khubsurat lage aur users ko attreact  kare iske liye jaruri hai ki aap main keyword aur heading ko bold ya italic kare. google aaise words pe jyada focus karta hai.

Permalink-


Prmalink apka post ka URL hota hai, jo ki automatic generate hota hai lakin wo readable ni hota hai uske liye aapko use change karke simple words ya post ka title "-" marks ke saath likh dena chahiye

Jaise maine jab ye post bana raha tha tab mere blog ka permalink ye tha:-
https://bebloggertutorial.blogspot.com/2019/11/what-is-seo-in-hindi.html

for maine ise change kar diya

https://bebloggertutorial.blogspot.com/2019/11/what-is-seo-in-hindi.html

Mtlb pehle se jyada simple karna hai.


Image-of-permalink
Permalink prinshot












Aise hi aur bhi points hai jinke baare main jyada likhne ki jarurat ni hai aapko naam se hi samjh aa jeyga, jaise:-
  • Sitemap submission
  • Social media button
  • https/secure page
  • clear page cache
  • Image Alt tag
  • Short URL

SEO TYPE.


Ye jaane ke baad ki SEo kaise kaam karta hai , ab ye jaante hai ki SEO ke type kitne hote hai

  1. Onpage SEO
  2. Off page SEO

On Page SEO:-

maine upar aapko bataya ki SEO kaam kaise karta hai aur usse use kaise karte hai ,yahi ON Page SEO kehlata hai. to use repat na karte hue, aage chalte hai OFF  page SEo ki Taraf

OFF page SEO:-

Apne content ko social media , ya other tarike se share karke traffic badhane ko OFF page SEO kehte hai.

Jab aap apne page ya website ko social media pe ya social bookmarking site pe share karte hai to usse google ko signal milta hai aur wo apki ranking ko increase karta hai

Aap apne post ko Socail networking site jaise FACEBOOK, GOOGLE PLUS,FACEBOOK Group,Linkdin pe share kar sakte hai jisse jyada se jyada log attract ho saath hi kuch bookmarking site bhi hai jisse aap use kar sakte hai jaise


  • DIGGO,
  • GUEST POSTING
  • FORUM POSTING
  • BLOG COMMENTING
  • REDDIT
  • PHOTO SHARING SITE
  • VIDEO SHARING SITE
  • PINTEREST




SEO Technique 




  1. Whitehat SEO
  2. Black Hat SEO

Har kaam ke Do tarike hote hai ek acha aur ek Bura , aur white and Black naam se hi aap samjh gaye honge ki koun sahi hai aur koun galat, 

haan ji sahi samjhe WhiteHAT SEO wo technique hai jiske through hum genuinly google ke process follow karke tarffic attract karte hai, ab tak maine aapko jitna brief kiya hai aur jitne process samjhaye hai ye sab WHITE HAT Technique hai.

ab samjhte hai ki Blackhat SEO kya hote hai.

BLACK HAT SEO-

Yeh technique WHITE HAT ke bilkul opposite hoti hai ismain , Google ke rules ko ignore karke aur Sirf uske serach engine robots ko dhayan main rakh kar kiya jata hai , jisse site jaldi se jaldi rank kar sake. isse hi Black HAT SEO kehte hai.

Bahut saari webisite hai jo aapke page ko promote karne ke liye paise lete hai , wo aapki post ke multiple link spam aur automated website ke thorugh create karte hai , jisse aapke site jaldi rank kar jaati hai But ye techinique bilkul bhi safe nahi hai, google aise site ko bahut jaldi hi pakad leta hai aur penalized bhi karta hai.  
 aur google apne alogorithm main changes bhi karta rehta hai taki ussers ko best aur unique content mil sake.

So agar aap blogging ke feild main apna carrier banana chahte hai to WHITEHAT technique ka hi use kare aur BLACKHAT se dur rahe.


I hope aap logo ke doubt clear ho gaye ho gaye honge aur aapko WHAT IS SEO shikne ko bhi mila, agar aapka koi question or query ho to aap comment box main comment karke puch sakte hai aur agar post achi lage ho to please apne freinds ke saath social media main share kare.



Comments

  1. Usable information...thanks itna simply samjhane ke liye

    ReplyDelete
  2. 📢Get free .com domain name and start your own website
    Free .com domain name

    🌍Use BacklinksIndexer and easily index backlinks on search engines

    Rank your website on Google map with GMP snap
    Easy ,
    Secure,
    Professional way,
    GMP snap complete guide

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

What is Google Algorithm in Hindi 2019

What is Google Algorithm guide and How Its works Google algorithm Google Algorithm aapne naam to suna hi hoga, but bahut saari  queries hai ki yeh kya hai aur kaise kaam karta hai. to aaj hum isi  topic pe discuss karenge. SEO kya hai ye sabko pata hai aur agar aap use aur samjhna chahte  hai to uspe maine already post likh rakha hai aap neeche diye link  pe click karke use padh sakte hai. aur SEO ko ache se samjh sakte  hai.                                 what-is-seo-in-hindi-2019 what is SEO SEO ko sahi tarike se use kar sake isiliye ne Google ne apne kuch  bots banaye hai jo ki ek computer program hote hai jisse aap sahi  practice main SEO kar sake ,  mtlb galat tarika ya illigale tarika jise black hat kehte hai na use  kar  paye. ya agar kare to google use jald se jal trace kar le. What is Google Algorithm in hindi:- Googel algorithm SEO ka process hai Jiski madad se google kisi  site ko rank

Biggest mistakes bloggers make | Blogging Mistakes in Hindi

Biggest mistake Bloggers make | Blogging mistakes in Hindi  Hi Guys mera naam Neeraj Ojha hai , aur main apko aaj batane wala hun ,   10 Biggest mistakes jo newbie blogger mostly karte hai. but un sabse pehle jo main apne har blog main kehta hun ki blogging karni hai to dil se karo agar aap paise kamane ke liye blogging karna chahte ho to thoda aur soch lo. Mistakes se pehle agar aap janana chahte hai ki Blog kya hota hai to aap neeche diye hue artical pe click karke jaan sakte hai https://bebloggertutorial.blogspot.com/2019/10/blogger-frankly-speaking.html Aapko malum hai ki Regular post daalne ke baad bhi aapka post serach engine main kyun ni aa raha? Ye isliye ho sakta hai ki shayad aapne bina "keywords" search kiye hai post ko publish kar diya hai. Keyword research ek simple process hai jisse aap jaan sakte hai ki koun sa "WORD" aur "KEYWORD" jyada serach, lead and sales generate kar sakta hai GOOGLE serch eng