Skip to main content

What is Google Algorithm in Hindi 2019

What is Google Algorithm guide and How Its works

Google-Algorithm-image
Google algorithm


Google Algorithm aapne naam to suna hi hoga, but bahut saari 

queries hai ki yeh kya hai aur kaise kaam karta hai. to aaj hum isi

 topic pe discuss karenge.


SEO kya hai ye sabko pata hai aur agar aap use aur samjhna chahte

 hai to uspe maine already post likh rakha hai aap neeche diye link 

pe click karke use padh sakte hai. aur SEO ko ache se samjh sakte

 hai.

                               what-is-seo-in-hindi-2019
What-is-SEO-in-Hindi
what is SEO



SEO ko sahi tarike se use kar sake isiliye ne Google ne apne kuch 

bots banaye hai jo ki ek computer program hote hai jisse aap sahi 

practice main SEO kar sake , 


mtlb galat tarika ya illigale tarika jise black hat kehte hai na use 

kar paye. ya agar kare to google use jald se jal trace kar le.



What is Google Algorithm in hindi:-

Googel algorithm SEO ka process hai Jiski madad se google kisi 

site ko rank karta hai aur user ke serach topic ka exact and quick 

result show karta hai, google apne algorithm main lagatar changes 

karta rehta hai jisse user ka search experience accha ho 

google apne search engine main better result dene ke liye jo 

changes karta rehta hai wo GOOGLE Algorithm ke andar hi aata 

hai.


Aap jo kuch bhi google main search karte hai to uske bahut saare 

answer ya resut aa jaate hai Google algorithm ye check karta hai ki 

koun sa contact kis rank pe aur kis stage main dikhana hai.


Isske jariye google bekaar content ko hata ke best result hi show 

karta hai user ko.



shuruaat main google apne Algorithm ko bahut kam change karta 

tha but ab lagataar kuch na kuch naya update hota rehta hai jisse ki 

wo SPAM ko rok sake , but iske jaankari bahut kam share ki jaati 

hai.


MOZ website ke thorugh aap Google algorithm ke latest update 

paa  sakte hai.


Google Algorithm kaam kaise karta hai


google algorithm bahut saare types main kaam karta hai chaliye 

unki latest list jaante hai
  1. mobilegeddon
  2. penguin
  3. panda
  4. humming bird
  5. Exact match domain
  6. Rank brain
  7. possum
  8. pirate
  9. Fred
  10. Page layout update
Google algorithm main har month kuch na kuch update hota rehta 

hai.


Chaliye one to one sabhi algorithm ke baare main jaante hai






Mobilegeddon:-


Mobile-Friendly-image
Mobile Friendly Image


Is algorithm ko 21 april 2015 ko launch kiya gaya tha.


isko lauch karne ka reason tha ki site mobile friendly hai ki nahi.

aaj ki date main 63% traffic mobile se hi aata hai , to google is baat 

pe dhyan deta hai ki aapka jo bhi content ho to mobile pe bhi easily

 view hona chahiye agar nahi hai to google aapke site ko rank nahi 

karega.

iss bachne ke liye aap try kariye ki aapki site mobile freindly ho, 

aur theme bhi aapko mobile freindly hi use karni chhaiye


yadi aapki site wordpress pe hai to aapko iski chinta karne ki koi 

jarurat ni hai wo already mobile friendly hi hoti hai.


Penguin:-

Google-Penguin-image
Google Penguine


is algorithm ko sabse pehle 24 april 2012 main introduce kiya gaya tha

ye 3-4 category main kaam karta hai jaisse aapne paid llink liya ho

 ya irrrelavant site se backlink kiya ho ya unwanted link lagaya ho .


 mtlb ye hai ki bahut se log backlink banane main time waste ni 

karna chahte to wo log paid link khareedte hai jisse site rank to ho 

jaati hai but jald hi Penguine ki shikaar ho jati hai 


aise hi yadi aapne koi aisa link lagaya hai jo ki aapke topic se 

match nahi karta to usse bhi penguine ke jariye aapki ranking kam

 ho jayegi.


bahut jyada link ko share karne se bhi aap iske shikaar ho sakte hai,

 bhaut se log ek saath bahut saare backlink bana daalte hai jo ki 

google ki nazar se galat hai ek din main bahut jyada 10-15 jagah se 

hi backlink banaeye jyada share karni ki galti na kare.


back link banate samay dhayan rakhe ki kisi relevant website se hi 

banaye, jiski alexa and google rank achi ho,unnecessary kisi bhi 

site se backlink karke aap penguine ki nazar main aa sakte hai.

PANDA:-

Google-Panda-Image
Google Panda

Sabse tagda item hai bhai, aur bahut log iska shikar hue hai , aur  

new blogger to 90% hote hi hote hai.


isko google ne 24 feb 2011 main introduce kiya tha.


iska kaam hai duplicate content, thin content, copy content , low

 quality content , keyword stuffing aur user generated SPAM ko 

rokna.

chaliye detail main samjhte hai 

new blogger aksar ye galti karte hai ki dusre website se data copy

 karke apne post main daal dete hai,

aise content ko pakad ke google 100% penalty lagata hi lagata hai,'

 isse bachne ke liye bahut saare tools available hai jisse aap apne 

content ko check kar sakte hai ki usmain koi content copy paste to 

nahi hai:- jaise


   
Google panda ka SEo main bahut big role hai.

yadi aapne apne post main kam content likha hai tab bhi aapki site 

rank nahi karegi to apko minimum 1000+ word ka content banana

 hi hota hai, jisse aapko google rank bhi mile aur user ko jyada se 

jyada achi jaankari bhi mile.


kisi word ko baar baar use karna keyword stuffing kehlata hai , to 

aap dhyan rakhe ki unique keyword ko use aur ek hi word ko baar

 baar use karne se bache isse PANDA negative hi samjhta hai.


You Can Check the Google panda update on:-



Please read:-blog-type-2019


Hummingbird:-


Hummingbird ko google ne 22 aug 2013 main introduce kiya tha,

iska kaam hota hai user ko uske serach ka best and fast result dena ,

 google hamesha ispe dhayan deta hai ki aapka content long ho 

mtld uspe jyada information ho, to google aise artical ko search 

karta hai aur best and fast result 1st rank pe show karta hai. yadi 

aapki site main low content ya useless content hai to aap humming 

bird ka shikar ho sakte hai


Exact match domain:-


Is technology main google check karta hai ki aapka artical aapke 

domain se match kar bhi raha ki nai, as an example maan lete hai 

ki aapke travel pe content likha but aapki website ka domain food

 se related hai to aise website google pe rank ni karte.
 

isse bachne ke liye dhayan rakhe ki aapka content and domain 

almost same hona chahiye

RANK BRAIN:-


ise 26 OCT 2015 main introduce kiya gaya tha,

ye ek  artificial intelligence system hai mtlb jab machine khud apne

 problem ko trace karke khud hi use solve kar le to aise program ko

 artificial intelligence kehte hai.


ye aapke artical ko content quality ke hisab se search karta hai aur 

user ko best result provide karta hai,


 ye basically organic traffic pe depend kart hai aapke artical pe 

jitna adhik  organic traffic hoga RANK BRAIN use achi rank 

provide karega.isse socail media traffic se mtlb ni hota.

POSSUM:-


Isko 1 sep 2016 main introduce kiya gaya tha.

isske hisab se website ko apne city ya artical ke hisab se link karna

 karna chhaiye. mtlb jaise aapka koi business hai mumbai main aur

 aap uske website bana rahe hai ya uspe ko artical likh rahe hai to 

usmain aapko apne city ya country ka naam add karna chahiye isse 

POSSUM aapki rank ko increase karta hai.


PIRATE:-


8 Aug 2012 ko isse introduce kiya gaya tha,

ismain google un contenent ko target karte hai jissmain piracy ho 

rahi ho . as like  agar aap koi movie download site, song download 

site banate hai to uspe aapko google ad sense kabhi approval nahi 

dega. aur aapka domain bhi del kiya jaa sakta hai, ispe site wahi log

 bana sakte hai jinhone copyright authoirty se license liya ho.




FRED:-


Ise introduce 9 march 2017 main kiya gaya tha.

isska kaam hai aise websites ko blog karna jismain

 information kam and add jayada hote hai.


bahut se log jyada paise kamane ke liye apni website pe jyada add 

chipka dete hai jisse user ko dikat hoti hai aur google bhi is baat ka 

dhayan rakahta hai ki site infromative honi chhaiye showroom 

nahi.isse aapka adsense disable bhi ho sakta hai.



You Can check Google Algorithm Update on:-






The ENd,

YAhan pe main aapko What is Google Algorithm in Hindi ke 

baare main detail main samjhaya hai aur agar koi doubt ya query 

hai to aap comment karke puch sakte hai. 

agar infromation achi lagi ho to please like kare

THANKYOU




Comments

Popular posts from this blog

WHAT IS SEO IN HINDI GUIDE AND HOW ITS WORK 2019

What is SEO in Hindi Hello guys welcome back ,aur aaj  main aapko  batane jaa raha hun What is SEO in Hindi. Mostly har naye blogger ka sabse bada question yahi hota hai ki  What is SEO:- Dont worry main aapko bahut hi simple tarike se samjhata hun. SEO- means Search engine optimization, mtlb aap apni website ya blog ko serach engine pe achi rank pe laane ke liye SEO ka use kiya jata hai. SEO kisi bhi website ya blog ki aatma ke saman hai. Hum blog likhte hai wo isliye ki log use dekh sake aur us topic ke baare main jaankari le sake, lakin without SEO log aap tak pahuch hi ni payenge, post likhna alag baat hoti hai aur logo tak pahuchna alag baat isliye hum kuch steps ko follow karke apne post ko  jyada se jyada logo tak  pahucha sakte hai.Aur Google pe rank kar sakte hai. SEO kya hai- Is internet ki duniya main aise bahut se tarike hai jisse aap apne website pe traffic la sakte hai aur online income bhi kar sakte hai. As like:-

Biggest mistakes bloggers make | Blogging Mistakes in Hindi

Biggest mistake Bloggers make | Blogging mistakes in Hindi  Hi Guys mera naam Neeraj Ojha hai , aur main apko aaj batane wala hun ,   10 Biggest mistakes jo newbie blogger mostly karte hai. but un sabse pehle jo main apne har blog main kehta hun ki blogging karni hai to dil se karo agar aap paise kamane ke liye blogging karna chahte ho to thoda aur soch lo. Mistakes se pehle agar aap janana chahte hai ki Blog kya hota hai to aap neeche diye hue artical pe click karke jaan sakte hai https://bebloggertutorial.blogspot.com/2019/10/blogger-frankly-speaking.html Aapko malum hai ki Regular post daalne ke baad bhi aapka post serach engine main kyun ni aa raha? Ye isliye ho sakta hai ki shayad aapne bina "keywords" search kiye hai post ko publish kar diya hai. Keyword research ek simple process hai jisse aap jaan sakte hai ki koun sa "WORD" aur "KEYWORD" jyada serach, lead and sales generate kar sakta hai GOOGLE serch eng